If you’re feeling ignored, broken, or just emotionally feel low, these words will bring calmness to your heart. This post brings you the 325+ Sad Mood-Off Shayari in Hindi Roman English for Girls & Boys that speak directly to the soul either 1 line or 2 lines. From Mood Off Shayari in English to the Best Mood Off Shayari for Girls if feel igored and hearted by those you love , and Shayari on Mood Off Lines, every line reflects genuine emotions.
Here, you’ll also find Mood Off Shayari in Hindi English Text, relatable Sad Mood Off Status, thoughtful Mood Off Shayari for Boys, and Heart Touching Mood Off Love Shayari. Let the Mood Off Shayari speak when your heart feels heavy.
Contents
ToggleMood Off Shayari in English

Dil tarasta hai tu tarasta rahe,
Marta hoon tu mar jaoon,
Magar ab ta hayat tujhe rabtay ki bheek nahi maangni.
Saath mil kar haalaat se ladna tha,
Aap toh hum se hi ladne lag gaye.
Log mujh se bhi kehte hain aksar dua ke liye,
Kis qadar Khuda ne mere aib chhupa rakhe hain.
Jinhein neend nahi aati unhein maloom hai,
Subah hone mein kitne zamaane lagte hain.
Aur jab main mar jaoon,
Toh tum apne waqt ka achaar daal lena.
Kuch waqt aur kuch waqeaat,
Insaan ko itna khamosh bana dete hain,
Ke zaroori baat karne ko bhi dil nahi karta.
“Kisi ke dard ki dawa bano.”
Zakhm toh har insaan deta hai.
Ab mujhe dar nahi lagta kisi cheez ko khone se,
Bachpan mein hi apni sari khushiyan kho chuki hoon.
Pata hai insaan kab haar jaata hai apne aap se?
Jab niyat saaf ho, aur saamne wala tumhein ghalat samjhe.
Aaj saara din udaas guzra,
Abhi raat ki saza baqi hai.
Tumhe lagta hai main tumhari tawajjo ka mohtaaj hoon?
Yeh bheek usay dena jiska Khuda na ho.
Ghalat fehmi thi ke apne bohot hain,
Mud ke dekha toh saaya humsafar nikla.
Be-basi itni khoobsurat cheez hai,
Kabhi kabhi lambi saans ke siwa kuch nahi kar sakte.
Abhi safar mein hoon,
Manzil par pohonch kar bataunga,
Ke raste mein kis kis ne raasta badla tha.
Sometimes… it’s okay to be silent..!!
Best Mood Off Shayari for Girls

Pata nahi kismat kharaab hai ya main
Har us cheez ne dukh diya jis par fakhar tha.
Mujhe bhi apne ghar walon se pyaar nahi mila,
Main baahar kisi se kya umeed rakhun
Log bhool jaate hain ke unka dil rakhne wala bhi ek dil rakhta hai.
Rishton mein zabardasti achhi nahi hoti,
Jahan sukoon mile, unhein wahan chor dena chahiye.
Itna badal jaana hai ke log taras jaayein,
Pehle jaisa dekhne ke liye.
Har waqt milti rehti hai mujhe anjaan si saza,
Main taqdeer se kaise puchhun mera kasoor kya hai?
Aaj mood itna OFF hai,
Ke dil kar raha hai bohot roon… aur rote rote mar jaoon.
Shikayat karne se behtar hai insaan khamosh rahe,
Jab saamne wale ko farq hi nahi padta.
Na jaane ab kyun lagta hai,
Ke apni baatein sirf apne dil tak rakhni chahiyein.
Ek waqt aisa bhi aata hai,
Jab insaan ko apne ikhlaas par bhi rona aata hai.
Zindagi aise mod par le aayi hai,
Ke kuch samajh nahi aa raha,
Main bura hoon ya meri kismat?
Bohat anokha taalluq hai ishq ka sukoon-e-hayat se,
Umar guzar dete hain tanha, laga kar umeed intezaar se.
Bari shiddat se maut ke intezaar mein hoon,
Meri mayyat par milne ka wada hai unka.
Shayari on Mood Off Lines
Maut se kaho zara intezaar kare,
Abhi umeed hai mujhe uske aane ki.
Zindagi kya hai aaj ise ae dost,
Soch lein… aur udaas ho jaayein.
Masla yeh hai ke jawaan logon ko,
Udaas rizq bhi karta hai… aur mohabbat bhi.
Mohabbat na karte to aaj udaas na hote,
Ek chhoti si khata meri zindagi tabaah kar gayi.
Udaas raaton mein, teiz coffee ki talkhiyon mein,
Woh kuch zyada hi yaad aata hai sardi ke dino mein.
Meri aankhon mein chhupi udaasi ko mehsoos to kar,
Main sabko hansa kar, khud raat bhar nahi soti.
Maana ke har koi udaas hai yahan,
Par kisi kisi ka gham… khaas hai yahan.
Hamari aankhein udaas ghazalon ka qaafiya hain,
Hamara chehra puraane waqton ki shaayari hai.
Koi khudkushi ki taraf chal diya,
Udaasi ki mehnat… theek thikane lagi.
Koi hai jo mujhe sikhaye aadaab-e-udaasi,
Udaas ho bhi jaaun toh aksar hansne lagti hoon.
Jab bhi yeh dil udaas hota hai,
Jaane kaun aas paas hota hai.
Ghazzab ka pyaar tha uski udaas aankhon mein,
Guman tak na hua ke woh bichhadne waala hai.
Maut se zyada azeeyat hoti hai,
Aansuo’n ko wapas halq mein utaarna.
Hanste rahoge to duniya saath hai,
Warna aansuo’n ko to aankh bhi jagah nahi deti.
Hum ne aankhon ko jab nichoda…
Ek aansu gira, aur saath mein hazaar khwab bhi.
Upset Deep Sad Mood Off Poetry
Dil se rote hain mohabbat ki aag mein log, Iqbal…
Jannat ban jaati zindagi agar yeh aansu ibadat mein baha dete.
Neend mein bhi girte hain meri aankhon se aansu,
Tum khwab mein bhi mera haath chhod jaate ho.
Taara toot’te sab ne dekha, yeh kisi ne nahi dekha,
Kis ki aankh se aansu tapka, kis ka sahaara toot gaya.
Meri tasveer banao toh sab rang bharna mohabbat ke,
Lekin jab aankhein banao… toh aansu rawaan rakhna.
Ghair ki mehfil mein mujh ko misal-e-shamma,
Aath-aath aansu rulaya aap ne.
Aansoo, aahen, tanhaai, veerani aur gham musalsal,
Ek zara sa ishq hua tha… kya kya viraasat mein de gaya.
Khuda se woh baat ho jismein alfaaz na hon,
Aansoo hon, dard ho… magar shikwe na hon.
Aansoo bhi ab rok nahi paate,
Itne kamzor ho chuke hain hum.
Kabhi kabhi apno se aisa dard milta hai,
Ke aansu paas hote hain… magar roya nahi jaata.
Kuch khushiyan, kuch aansu de kar taal gaya,
Jeevan ka ek aur sunhera saal gaya.
Zaroori nahi ke log sirf aansuon se royein,
Kuch ko maine sochon se bhi rotay dekha hai.
Subah jab uthun to aankh mein ek aansu zaroor hota hai,
Tumhari yaad ka… tumhare khwab ka… tumhare intezaar ka.
Hum unse mile toh kuch keh na sake,
Khushi itni thi ke mulaqaat bhi aansuon mein ho gayi.
Jab aansu achanak se gir padte hain,
Woh kefiyat alfaaz se bayaan nahi ki ja sakti.
Halaq mein atke alfaaz hon ya aansu,
Insaan ka jeena dono hi mushkil kar dete hain.
Mood Off Shayari in Hindi English Text
Arzoo, hasrat, aur umeed… shikayat, aansu,
Ek tera zikr tha — aur beech mein kya kya nikla.
Zaroori nahi ke kisi ki aah ya bad-dua peechha kar rahi ho,
Kabhi kabhi kisi ka sabr bhi zindagi barbaad kar deta hai.
Kuch logon ko main kabhi maaf nahi karoonga,
Chahe unhein meri aah lage… ya bad-dua.
Kuch baaton ko… aur kuch insaanon ko,
Maaf nahi kiya ja sakta — chahe aah lage ya bad-dua.
Main teri bad-dua se mar jaaun,
Yeh meri aakhri khwahish hai.
Har tabaahi ke liye kisi ki bad-dua zaroori nahi hoti,
Kabhi kisi ka sabr bhi tabaah kar sakta hai.
Log apni bad-duaon se darte hain,
Lekin apne aamaal se nahi.
Apni bad-duaayein apne paas rakho,
Mujhe ishq hai… khud hi barbaad ho jaaunga.
Guroor nahi karta… magar itna yaqeen toh hai,
Agar yaad nahi karoge… toh bhula bhi nahi paoge.
Apna guroor aur anayein le kar,
Ek din sab khaak ho jaayenge.
Kyun na karoon main apne aap par guroor?
Mujhe usne chaha… jiske chahne waale hazaaron the.
Sad Mood Off Status

Dilon mein rehna seekhiye,
Guroor mein toh sabhi rehte hain.
Dobara palat kar nahi aayenge,
Itna guroor toh hum bhi rakhte hain.
Shauq hai tujhe… toh aazma le humein,
Magroor ka guroor har baar toda hai humne.
Toot jaata hai gareebi mein woh rishta jo khaas hota hai,
Hazaron yaar bante hain… jab paisa paas hota hai.
Aaj mere paas paise hain,
Sab poochh rahe hain — “Aap kaise hain?”
Agar sakhi banna hai toh gareebi mein logon ko dena seekho,
Ameeri mein toh har koi sakhi ban jaata hai.
Aurat haar tabhi qubool karti hai,
Jab jeetne wala… uska pasandeeda mard hota hai.
Haar kar koi jaan bhi le le toh manzoor hai mujhko,
Dhokha dene walon ko main phir mauqa nahi deta.
Anaaon ke khel mein,
Rishton ki haar hoti hai.
Aap ki har woh jeet… haar hai,
Jiska maqsad kisi ko neecha dikhana ho.
Hum jeet bhi sakte the is ishq ki baazi ko,
Woh jeet ke khush hoga — yeh soch ke hum haare.
Ab jo roothoge toh haar jaaoge,
Hum manane ka hunar bhool chuke hain.
Kuch haar gayi taqdeer, kuch toot gaye sapne,
Kuch ghairon ne kiya barbaad… kuch chhod gaye apne.
Mood Off Shayari for Boys
Ek wafadaar dost,
Hazaron rishtedaaron se behtar hota hai.
Pehle khoon ke rishte hote the,
Ab waqt aisa aagaya hai ke log rishton ka khoon karte hain.
Rishte agar bikhar jaayein,
Toh aag lagane waale log badh jaate hain.
Dushmani ke hazaaron darje hain,
Aakhri darja… rishtedari hota hai.
Khelte rahe log rishton ke khel mein,
Anaa jeet kar… taalluq haar gaye.
Zaroori nahi ke har rishta khoon ka ho,
Kuch rishte khoon choosne waale bhi hote hain.
Is bharam mein mat rehna ke sabhi rishte khaas hote hain,
Aadhe se zyada rishte… aasteen ke saanp hote hain.
Tum paisa banao… rishte log khud bana lenge.
Daulat ke bazaar mein rishte ki kami nahi,
Paisa jisko de do… wahi apna ban jaata hai.
Ajab rishta raha kuch apnon se is tarah,
Na nafrat ki wajah mili… na mohabbat ka sila mila.
Sard khane mein laashein rakhi hain,
Sakht garmi se marne waalon ki.
Us ehsaan ka koi faida nahi,
Jis ehsaan ko baar baar jataya jaaye.
Log dukh mein diya gaya ehsaan bhool jaate hain,
Lekin jo saath nahi diya gaya… woh kabhi nahi bhoolte.
Tum na aana meri iyaadat ko,
Tera ehsaan maar daalega.
Heart Touching Mood Off Love Shayari
Tere lehje se kyun laga mujh ko,
Tu mere roothne pe raazi hai… 😔
Rooth jaane ki zid guzar gayi,
Ab nazar andaaz karne ka zamaana hai… 💭
Mujh se roothna mat jaanii,
Kasam se mujhe manaana nahi aata… 🤧💔
Woh rooth jaata hai aksar shikwa kiye baghair,
Hum bhi to seh jaate hain shikayat kiye baghair… 😞💬
Raaton ko jaagna na aadat thi na shauq zindagi,
Bas ek shakhs jo rootha toh neend bhi rooth gayi… 🌙😢
Jab main rooth jaaun toh mujhe manaana,
Aur kuch na karna… bas galay se laga lena… 🤗❤️
Kisi ke waqt par hansne ki ghalti na kar baithna,
Yeh waqt hai janaab, chehre yaad rakhta hai… 🕰️👤
Bas meri mohabbat hi na samajh paaye tum,
Baaki meri har ghalti ka barabar hisaab rakhte ho… 💔📖
Jo shakhs ghalti nahi karta,
Woh kuch naya seekhta bhi nahi… 🧠✨
Kyun dimaag par zor daal kar ginte ho ghaltiyaan meri?
Kabhi dil pe haath rakh ke poochhna… kasoor kis ka tha? 😔💔
Kaash humein apni ghalti bhi itni jaldi nazar aati,
Jitni jaldi humein doosron ki ghalti nazar aati hai… 🪞😶🌫️
Hamare apne humein kabhi nahi rulate,
Rulate toh woh hain… jinhein hum apna samajhne ki ghalti karte hain… 😢💔