Alone Sad Shayari In English – Best sad poetry in English

Sometimes, we feel lonely, and words can express that pain. If you are looking for Alone Sad Shayari In English, you will find deep and heart-touching poetry here. When love hurts, it feels like the world is empty. If you have ever felt this pain, you may like poetry about lost love. But even in lonely times, good memories of friends stay with us, just like in poetry about true friendship.

Let’s read some Alone Sad Shayari in English that speak to the heart.

Alone Sad Shayari In English

Here is some Alone Sad Shayari In English for you people to read and copy as well.

Alone Sad Shayari In English

Jo mukammal milte nahi,
Woh mukammal bichadte bhi nahi.

Hum bohot gehri udaasi ke siwa,
Jis se bhi milte hain kam milte hain.

Kaun jeeta hai zindagi apni,
Har kisi pe koi musallat hai.

Tujhe bhoole koi hamwar dimagh,
Tere paamaal kahan bhoolte hain.

Bas yunhi chor diya usne mujhe,
Haaye usne mujhe aazmaya bhi nahi.

Karwatein do hi hain,
Aur dono taraf bechaini hai.

Tumhare shehar ko jate ye lariyon wale,
Sada nahi lagate, mujh pe tanz karte hain.

Gehri baatein samajhne ke liye,
Gehri chotain khani padti hain.

Baat ka hal nikaliye sahib,
Aise kaise bhala, Khuda Hafiz?

Jaanisaron ko tere kab ye khabar thi, ke tujhe,
Dil se chaahenge, nibhaayenge, pashemaan honge.

Tu hai sooraj tujhe kya maaloom raat ka dukh,
Tu kisi roz utar mere ghar shaam ke baad.

Kuch mar sa gaya hai andar,
Ab mera dil hasratein nahi karta.

Kaafiron se badtar hote hain,
Beech raste mein chodne wale.

In dino ta’alluq thoda mazboot rakhna,
December ke bichhde kabhi nahi milte.

Teri aawazon se, tasveeron se, tahreeron se,
Bhare phone aaj bhi samaan mein rakhe huye hain.

Woh todta jodta hai roz mujhe,
Nuks kya hai mujh mein batata nahi.

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya,
Woh teri yaad thi ab yaad aaya.

Mujhe lagta hai mere khwab adhure reh jayenge,
Mujhe shak hai meri maut jawani mein hogi.

Yun hi nahi main tere ishq mein badnaam,
Mujhe mayassar hai is badnami mein sukoon apna.

Nazar kha gayi, hum dono ki mohabbat ko,
Roz baat karne wale aaj khamosh hain.

Aashiqon ko jaaiz nahi kafan dafan,
Maren to yaar ke dar pe phenk aao.

Saari duniya se lata’alluq hokar,
Aao chalo kahin chai peete hain.

Best Sad Alone Shayari in English

Best Sad Alone Shayari in English

Chup rehkar bhi itna ro liya,
Ki aankhon ki nami ab shikayat karti hai.

Dard itna gehra hai ki aawaaz bhi dar jaati hai,
Sirf aansu bayaan karte hain meri kahani.

Maun ka dard wo samundar hai,
Jiski lehrein sirf main samajh paata hoon.

Bolne se pehle hi shabd toot jaate hain,
Dil ka haal lafzon mein bayaan nahi hota.

Zindagi ne diya hai bas dard ka tohfa,
Khushiyan to mehmaan ban kar aati hain.

Har mod par umeedon ka diya bujha hai,
Ab rasta sirf andhera dikhta hai.

Muskurate hain to log puchte hain ‘kya hua?’,
Rote hain to kehte hain ‘abhiyan band karo’.

Zindagi ki raftaar ne cheen liye sapne,
Ab bas yaadon ke sahare chalta hoon.

Haar nahi maanta, par jeet ka ehsaas bhi nahi,
Jaise ladai bina maqsad ki ho gayi hai.

Tumhare bina jeena seekh liya,
Par tumhare saath jeene ka sapna nahi bhulaya.

Mohabbat ki kahani adhoori reh gayi,
Kyunki tumne kitaab band kar di.

Tumhare liye likhe geet adhoore reh gaye,
Jaise tumhari yaadon ne suron ko chura liya.

Adhoori mohabbat ka dard wo zakhm hai,
Jo har saans ke saath taaza ho jata hai.

Tumhare waade adhoore reh gaye,
Meri zindagi adhoori reh gayi.

Chandni raat mein bhi andhera mehsoos hota hai,
Teri kami ka ehsaas har pal, har ghadi.

Teri mohabbat mein khud ko kho diya,
Har khushi se door, bas teri yaadon mein ro diya.

Zindagi to chalti rahi, par tere bina har khushi adhoori hai,
Tere jaane ka gham har din badhta hai.

Tera pyaar tha ya dhokha, har raat teri yaad mein aansu bahata hoon,
Dil toota, aashiyaan bikhra.

Har saans mein teri yaad, har dhadkan mein tera naam,
Tu nahi to ye zindagi bhi kya kaam.

Feeling Alone Sad Shayari In English

Here is some Alone Sad Shayari In English for you people that you can read whenever you feel sad or alone. This poetry will heal you.

Feeling Alone Sad Shayari In English

Raton ki chuppi mein teri yaadein bolti hain,
Dard ki ibadat ye aankhein tohlti hain…

Tumhare jaane ke baad, meri saanson mein bhi udaasi bas gayi,
Jaise har saans ab teri kami ko ginati hai.

Zakhm to bhar gaye, par nishan chhod gaye tum,
Jaise barish ke baad keechad mein pairon ke nishan…

Tumhari yaadon ka zehar ab aadat ban gaya hai,
Dard bhi waqt ke saath saathi ho gaya hai.

Khwaabon ki udaan adhoori reh gayi,
Tere bina zindagi ki kahani adhoori reh gayi.

Tanhai ke is safar mein,
Meri aawaaz bhi mujhse door ho gayi.

Chaand se baatein karta hoon roz,
Kyunki dharti wale sunna chhod chuke hain.

Akelepan ki raatein ab dost ban gayi hain,
Yaadein hi wo mombatti hain jo jalti rehti hain.

Log kehte hain ‘samajh jaaoge’,
Par akelepan samjhane se nahi jeeta jata.

Meri chuppi mein hazaar sawal dafn hain,
Jawab dhoondhne wala koi nahi hai.

Wafa ka daawa karne walon ne,
Mere dil ko bazaar bana daala.

Tumhare waadon ki roshni mein,
Maine apne sapne jalaye,
Par tum to khud andhere ka saath le gaye.

Bewafai ki nadi mein doob gaya ishq,
Ab tat par bas khaali waadon ke kagaz bahte hain.

Tumhari mohabbat ek jhootha silsila tha,
Jiski har kadi mein main toot-ta gaya.

Rishton ke bazaar mein itna sasta hoon,
Koi kharide to mol bharne ko dil nahi hai.

Tumhari yaadon ka saya itna gehra hai,
Ki meri neend bhi ab jaagti hai.

Har gali tere naam se shuru hoti hai,
Har manzil teri yaadon par khatam hoti hai.

 

2 Line Sad Shayari In English

2 Line poetry In English

Ab thoda ajnabi hi rehna hai mujhe…
Bohat si baar main bhi khaas se aam hua hoon…

Aksar doosron ke zakham bharne walon ko…
Khud ke liye koi bhi sahaara tak nahi mil paata…

“Matlab ki khaamoshi…
Bematalab ki baaton se behtar hai”

Muskuraahat par shuru aur rulane par khatam
Isi saza ko log pyaar kehte hai…!

Raat bhar taaron se baatein karte rahe,
Teri yaad mein hum to chaand se bhi rooth gaye…

Bada gazab kirdar hai mohabbat ka,
Adhoori ho sakti hai magar khatam nahi.

Ye jo haalaat hai, meri zindagi ke ek din sudhar jaayenge,
Par kuch log dil se utar jaayenge.

Tumhe humpar pyaar na sahi lekin
Khud par sharm to aati hogi.

Kitne ajeeb hain zamaane ke log,
Khilona chhod kar jazbaaton se khelte hain.

Ajab jazba hai ishq karne ka,
Hamaari umr jeene ki hai aur shauk hai marne ka.

Zindagi mein kai sawaal khade ho gaye,
Sochta hoon hum kyun bade ho gaye!

Duniya bohot rangeen hai mere dost,
Har roz hume koi na koi apna rang dikhata hai.

Mar jata hoon jab ye sochta hoon,
Main tere bagair hi jee liya.

Woh waada karke bhi nibha nahi sake,
Hum apne dil ko bhi kabhi mana nahi sake.

Teri yaadon mein khokar rota hoon,
Zindagi bina tujhe adhoora hai.

Sabr rakhte hain hum bade hi sabr se hum,
Varna tere yeh intezaar ke lamhe bade jaanleva hain.

Broken heart shayari in English For Life

Umr bhar ka saath tha,
Lekin pal bhar mein chhod diya usne.

Krodh bhi kya karun tumse,
Aaj bhi hanste hue achhi lagti ho.

Har woh shaks akela hai,
Jisne sacchi mohabbat ki hai.

Badalte rehte hain neeyat waqt waqt pe,
Kuch logon mein girgit si hi fitrat hoti hai.

Mat banao mujhe tum fursat ke lamhon ka khilona,
Main bhi ek insaan hoon, mujhe bhi dard toh hota hai.

Saath rehte itni muddat ho gayi,
Dard ko dil se mohabbat ho gayi.

Jitna pyaar teri baaton mein tha,
Kaash tere dil mein bhi hota.

Bohat ajeeb si thi woh,
Mujhe badal kar khud badal gayi!

Kaun hoon main ae zindagi mujhe tu yeh bata,
Thak gaya hoon apna pata dhoondte dhoondte.

Mere haalaat ko dekhkar hi sahi,
Magar aap hamesha hanste raha kijiye.

Ishq hai woh mera,
Aur main mazaak hoon uske liye…!

Sabr jitna tha kar liya maine,
Ab tu na mile toh behtar hai.

Chale jaiye janaab,
Ab himmat nahi hai tumhe rokne ki.

Woh banate gaye aur hum bante gaye,
Kabhi mazaak toh kabhi tamaasha.

Neend ud gayi raat ki,
Jab apne ne baat ki aukaat ki.

Na dhoond tu mera yeh kirdar duniya ki is bheed mein,
Wafadaar toh hamesha tanha hi milte hain!

Bohot samay pada hai,
Yahi waham sabse bada hai…!

Ek mohabbat aur karunga,
Ek judaai aur sahi.

Zindagi mein kai sawaal khade ho gaye,
Sochta hoon hum kyun bade ho gaye.

Bohot door chale gaye,
Bohot kareeb aakar kuch log.

Bohot ajeeb si thi woh,
Mujhe badal kar khud badal gayi.

Dobara nahi milenge,
Zara soch samajh kar khona.

Shak karna galat tha!
Par shak bilkul sahi tha!

Sad Status In English

Sad Status In English

Tu toh meri jaan thi par kyun,
Teri yaadein meri jaan le rahi hain.

Bichadne walon se poochna tha ke,
Saath li hui tasveeron ka kya karein?

Kaash tujhe meri zaroorat ho meri tarah,
Aur main tujhe nazar andaz hi kar doon teri tarah.

Aaj tumne ehsaas kara hi diya,
Main kuch bhi nahi hoon tumhare liye.

Jisse mile the tapaak se hum,
Use zaroori nahi lage.

Haar gaya main tujhse ae zindagi,
Behtar hoga tu ab mera hisaab karde.

Maut ka bhi ilaaj ho shayad,
Zindagi ka ilaaj nahi.

Hum uske aadi the,
Usi ne ant likh daala.

Mohabbat ko pane ki koi bhi raah nahi,
Yeh toh use milti hai jise iski kadar nahi hoti.

Itne zalim na bano tum kuch toh reham karo,
Tumpe marte hain toh tum toh kya maar hi daaloge.

Ek baat hamesha yaad rakho,
Butter lagane walon ke haath hamesha fisalte hain.

Teri yaadon ke sahaare hum toh jiye ja rahe hain,
Bin tere, hum bhi bohot adhoore se rahe hain.

Ishq bohot pechida hai,
Suno dost hi rehna tum.

Har keemat par maangta tha jise main,
Ab woh muft mein bhi mile toh thukra doon.

Ho sake toh wapas aa jaiye,
Main yeh bhi nahi poochunga tum door gaye kyun the…!

Main pasand toh sabko hoon…
Lekin zaroorat padne par…!

Kamaal ka taana diya hai humein aaj is dil ne,
Agar koi tera hai toh kahan hai…?

Hindi Sad Shayari In English

Ek dhokha bhi zaroori tha,
Dil apni aukaat bhool raha tha.

Apne haathon se azaad kar diya,
Jis parinde mein jaan thi meri.

Chhatriyan hata ke miliye inse,
Yeh jo barsaat ki boondein hain bohot door se aayi hain.

Use kal bohot fikr thi hamaari,
Jo aaj hamaara haal tak nahi poochti.

Kehne wale ko kya khabar,
Sahne wale par kya guzar ti hai.

Sab chhodne ja rahe hain aajkal humein,
Ae zindagi tujhe bhi ijaazat hai, ja aish kar.

Woh jo din guzre tumhare saath,
Kaash zindagi utni hi hoti.

Kisi ne khoob kaha hai,
Mohabbat nahi janab yaadein rulati hain.

Kati hui tahniyan kahan chhaav deti hain,
Had se zyada ummidein hamesha ghaav deti hain.

Meri udaasiyan tumhe kaise nazar aayengi,
Tumhe dekhkar jo hum muskurane lagte hain.

Jinse milna mumkin nahi hota,
Yaad bhi sabse zyada wahi aate hain.

Chaar din aankhon mein nami hogi,
Main mar bhi jaun toh kya kami hogi…?

Jab tumhe lage ki tum ab sirf mere ho,
Tab aane mein bilkul bhi deri mat karna.

Tumse milkar laga,
Ab kya milna kisi aur se…!

Kis mohabbat ki baat karte ho dost,
Woh, jisko daulat khareed leti hai.

Zindagi ab aise na rulaya kar mujhe,
Teri parwah karne wale kabke chale gaye…!

Kuch pata nahi yeh dil sudhar gaya,
Ya kisi ki mohabbat mein bigad gaya.

Ab teri aarzu kahan mujhko,
Main teri baat bhi nahi karta…!

Sad Love Shayari In English

Nigahon se bhi chot lagti hai janab,
Jab koi dekh kar bhi andekha kar deta hai.

Teri mohabbat mein khud ko kho diya,
Har khushi se door, bas teri yaadon mein ro diya.

Chehre par hansi aur dil mein gham,
Kuch is tarah se jee rahe hain hum.

Duniya ka dastoor hai,
Ye jise toot kar chahoge, wahi tod kar jayega.

Ishq khudkhushi ka dhanda hai,
“Apni hi laash, apna hi kandha hai.”

Shikwa karun bhi to karun kis se,
Dard bhi mera, aur dard dene wala bhi mera.

Kuch badal jate hain, kuch majboor ho jate hain,
Bas yun log ek dusre se door ho jate hain.

Usko bhi hum se mohabbat ho zaroori to nahi…
Ishq hi ishq ki keemat ho zaroori to nahi..!

Chehre par hansi aur dil mein gham,
Kuch is tarah se jee rahe hain hum.

Kudrat ke in haseen nazaron ka hum kya karein,
Tum saath nahi to in chaand sitaron ka kya karein.

Ek beej mohabbat ka boya tha,
Ek fasal dard ki kaati hai.

Mar jaye to badh jati hai insaan ki keemat,
Zinda rahe to jeene ki saza deti hai duniya.

Beshumar zakhmon ki misaal hoon main,
Phir bhi hans leta hoon, kamaal hoon main.

Do pal muskura kar hui aankhein nam,
Phir wahi gham… phir wahi hum.

Woh ishq nahi, karobar kar rahe the,
Ki jab fursat mein the, tabhi pyaar kar rahe the!

Kuch khwab tumne tod diye,
Baaki maine dekhna chhod diye.

Khamosh chehre par hazaron pehre hote hain,
Hansti aankhon mein bhi zakhm gehre hote hain.

Zindagi mein jo khaas hote hain,
Woh kuch palon ke liye hi paas hote hain.

Jo insaan tumhe rota hua chhod de,
Yakeen maniye woh kabhi aapka nahi ho sakta.

Conclusion

I hope you like our Alone Sad Shayari In English. If you have any doubt or you want to add some more Alone Sad Shayari In English please do not hesitate to his the comment section below.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top